Deshbhakti shairy. 2020 15 aug shairy.
Kuchh nasha tirange ki aan ka hai,
Kuchh nasha matribhumi ki maan ka hai,
Hum lahraenge har jagah is tirange ko
Aesa nasha hi kuchh hindustan ki shaan ka hai.
Chalo fir se aaj wah najara yaad karlen,
Shahidon ke dil me thi wo jawala yad kar len,
Jisme bahkar ajadi pahunchi thi kinare pe,
Deshbhakton ke khun ki wo dhara yad karlen.
Na puchho jamane me hamari kya kahani hai,
Hamari to bus pehchan ye ki ham hindustani hain.
Ishq to karta hai har koi,
Mehboob pe marta hai har koi,
Kabhi watan ko mehboob bana kar dekho
Tujh pe marega har koi.
Loktantra hai aa gaya, ab chhoro nirasha ke bichar ko,
Bas adhikar ki bat na socho, samjho kartabya ke bhar ko
Bhula na paega kaal, parchand ekta ki aag ko
Shaan se fahrakar tiranga badao desh ki shaan ko.
Ao jhuk kar salam kare unko jinke hisse me ye makam ata hai,
Khushnasib hota hai wo khun jo desh ke kaam ata hai,
Sawatntra diwas ki shubh kamnayen.
Likh raha Hu mai anjam jiska kal aagaaj aega,
Mere lahu ka har ek katra inkalab kahlaega,
Mai rahu ya na rahu per wada hai ye mera,
Mere watan per marne walon ka sailab aega.
Ye nafrat buri hai na paalo ise,
Dilon me khalish hai nikalo ise,
Na tera na mera na iska na uska,
Ye sabka watan hai bachalo ise.
Aan tiranga shaan tiranga
Sabko jorhe tiranga
Uttar-dakshin, purab-pashchim
Ek dor me jorhe tiranga.
Diniya me Mil jate hain aashique kai,
Magar watan se khubsurat koi sanam nahi hota,
Noto me lipat kar sone se bhi simatkar made koi,
Lekin tirange se khubsurat koi kafan nahi hota.
Landan dekha peris dekha aur dekha Japan,
Saare jag me kahi nahi hai dusra hindistaan.
Aaj ke bachchon ko kya pata ki sanghars kya hai,
Hamne wo time bhi dekha hai
Jab mobile me "S" likhne ke liye,
7 ko char bar dabana parta tha.
Mujhe har janam bahan mile to tu hi mile,
Agar tujhe bhai koi mile to dildar hi mile,
Pyari hai tu nayari hai tu, tu hai ham sabki anjani si,
Gudgude hansati hai tu, tu hai meri chhoti nanhi si,
Kabhi masti kabhi shararat, tu hai ek raani si,
Koi rajkumar tujhe mile, Bane jindagi teri, ek khubsurat kahani si,
Barkat sirf tere naam ho, khushiyan ho sirf teri,
Bahan jo bani tum, ye khushnasibi hai hamari.
Dur rahne se bhai-bahan ka pyar kabhi kam nahi hoga,
Yaad na karun apko di, aisa koi mausam nahi hoga,
Ye rishta wo hai, jo umar bhar mahakta rahega,
Haath Gar sar per ho apka to mushkilon me bhi gam na hoga.
Jab khuda ne duniya ko banaya hoga,
Ek bat se jarur ghabraya hoga,
Kaise rahunga khayal itni kuriyon ka,
Tab us ne sab ke liye ek bhai banaya hoga.
Wo bachpan ki shararte, wo jhulon pe khelna,
Wo maan ka dantna, wo papa ka lad pyar,
Per ek chij aur jo in sab me khas hai,
Wo hai meri pyari bahan ka pyar.
Dil ka ye rishta apki kalai pe bandha hai,
Dil se ye nata apse joda hai,
Tute na ye bandhan hamari kabhi,
Dil se apko apna bhaiya mana hai.
Chandan ka tika resham ka dhaga,
Sawan ki sugandh barish ki fuwar,
Bhai ki ummid bahna ka pyar,
Mubarak ho apko raksha bandhan ka tyohar.
Hai ye kachche dhagin ka bandhan,
Tut ke bhi kabhi nahi tut paega,
Bandhega rakhian suni kalai per,
Aur tilak mathe per saja jaega,
Hai ye bandhan ek biswas ka,
Jindagi bhar sath nibhaega.
Sada raushan rahe teri raho khusiyon se,
Chandani bhi dekh kar tera mukh muskurati hai,
Pana tum apni manjilon ko aur aage barhna,
Kahte hain dil se nikli dua rang jarur lati hai.
0 comments:
Post a Comment